Tuesday, August 2, 2011

Agar Mein Panchi Hoti Toh Kitna Achcha Hota

Agar mein panchi hoti
Toh kitna achcha hota,
Puri dharti apni lagti
Khula aasmaan nyaara lagta..
Ud jaati pankh khol apne
Kshitij chum jaati aur poore hote mere sapne..

Agar mein panchi hoti
Toh kitna achcha hota.....

Agar mein nadi hoti
Toh kitna achcha hota,
Beh jaati apne sapnon ke duniya mein
Phir bhi rastaa mera hota..
Phatharon se takraati, pahaadon se girti
Par mein needar ho kar aage badhti;
Intezaar kar raha hai Saagar mera
Mein awashya uske saath jaa kar milti..

Agar mein nadi hoti
Toh kitna achcha hota.....

Agar mein varsha hoti
Toh kitna achcha hota,
Idhar baras jaati, udhar garaj jaati
Par apne sang khushiyaali laati..
Rok paaye mujhe na aandhi na toofan
Ghusse se garjoongi
Dharti ko meri zaroorat hai
Jamkar nischay mein barsoongi..

Agar mein varsha hoti
Toh kitna achcha hota.....

Agar mein ek ped hoti
Toh kitna achcha hota,
Upar badey badey phal lagte
Niche aadmi sukun se sota..
Sabki sahaayata mein zaroor karti
Mann chaahe toh khaa le mere aam
ya jala de meri deh aur paa le sukh kisi ek shaam..

Agar mein ek ped hoti
toh kitna achcha hota.....

Lekin mein hoon ek aam manushya
Hain mere hazaaron sapne
Na taakat hai meri nadi jaisi
Na saahas hai mere ped jaise..
Chaahiye toh mujhe sirf ek cheez
har kadam pe ho saath mere apne.....

Agar mein panchi hoti
Toh kitna achcha hota.........

0 comments:

Post a Comment